Bhulna Chaha Tumko par Bhula na Saki
Yaad ko teri Dil se Mita na Saki,
Tum Jo Ruthe to Bhujh gayi Zindagi....
Phir shama Pyaar ki main Jala na Saki....
Bewafai ne teri mujhe Majboor kar diya,
AAg jo lagayi to main DAMAAN bacha na saki
Mana Main tumhare Pyaar k Kabil nahi,
Bewafa ki tumne aur main WAFAA nibha na Saki.
Dekh liya Saheliyon ko b is tanhai mein,
Dukh hai Mujhe to bus itni si Baat ka,
K Apni bigdi Takdeer main fir bana na saki.......
Bewafaai mujhe Kisi se Gawara na Thi,
Pyaar ki Jhuthi Kasame main kha na saki,
Mere Mehboob Mere Sanam,
Aise Ruthe Ho ki fir Tumhe main Mana na saki..........
HAAL-E-DIL chaha maine sunana bahut,
Par woh bhi kisi ko suna na saki,
Mujhko Itna Rulaya hai Tanhaiyon ne,
Ki khud ko mehfil mein fir Hasa na saki.......
GUM-E-ISHQ tum mujhe dete rahe magar,
Koi Shikwa main apne Hothon par la na saki,
KISMAT ne mujhe Apnaya hai baar baar,
KI KHO KAR TUMHE PHIR MAIN KUCH BHI PAA NA SAKI..........
No comments:
Post a Comment